Sunday, October 09, 2011

Kuchh Guzarishein Waqt Se

Aye waqt! Mujhe le chal is jahan se dur..
Aye waqt! Mujhe le chal is jahan se dur ek aise jahan mein,
Jahan na ghadi ki tik-tik ho aur na ho gadiyon ke horan,
Jahan na kuchh paane ki jaldi ho aur na ho rupyon ka bandhan.
Ek aise jahan mein..
Jahan ho bas belagam sard hawayein,
Jinki thandi khushboo gudguda jaye mere thithurte kanon ko.
Ek aise jahan mein..
Jahan ho beintahan sannaton ki dhun,
Jahan tim-timate sitare kar dein roshan andheri raaton ko.
Tumse live chatting karke keh jaayein ki woh tumhare kitne paas hain,
Tumhare dost hain aur tumhare kitne khaas hain.
Woh tumhein dikhayein apni haseen photos ki album,
Kabhi woh ban jaayein pyari chammach,
Kabhi dhanush aur kabhi pose karein jaise scorpion.

Aye waqt! Tu yeh kyun samajhta nahi hai..
Aye waqt! Tu yeh kyun samajhta nahi hai,
Har insaan raah apni chunta nahi hai.
Tu kyun na kabhi dhokhe se le chal mujhe un rahon par,
Jahan na raastey ho aur naa ho manzil.
Ya fir, mere raastey hi ho meri manzil.
Fir tu bhi rukna main bhi rukunga..
Fir tu bhi rukna main bhi rukunga;
Fursat mein sochenge ki raastey kya hain aur kya hai manzil,
Rastey zyada haseen hain ya zyada sundar hai manzil.

Aye waqt! Tujhse guzarish yahi hai..
Aye waqt! Tujhse guzarish yahi hai,
Jab bhi tu haseenaon ki tarah aye,
Mujhe hypnotize karle ya itni akal de,
Ki tumhein jee bharke dekhoon aur samajh paaun.
Tumhein jee loon, tumse karoon mohabbat..
Tumhein jee loon, tumse karoon mohabbat,
Aur khushi ka izhaar kar paaun.

4 Comments:

At 5:59 AM, Blogger Rajat said...

bohot hi umda likha hai dost. Par ye waqt bhi tumhari hi saaso ka bana hua hai. Jo sawaal waqt se puch rahe ho, unka jawab tumme khud chupa hua hai :)

 
At 9:51 AM, Blogger deepak said...

This comment has been removed by the author.

 
At 10:43 AM, Blogger deepak said...

dude second para is just awesome....and it aptly summarizes the irony of our daily life...great job and keep them coming....i too had one written for a long long time but never had the guts to publish it today u inspired me to publish it...hav a luk when u hav time....http://dceite621.blogspot.com/2011/10/dil-e-nadaan.html

 
At 10:16 PM, Blogger Mridul Mohan Gupta said...

Brilliant. Publish this on Facebook notes. Please.

 

Post a Comment

<< Home